Pages

Monday, 30 January 2017

PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Online Apply Kaise Kare

Click here to apply online
PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Online Apply Kaise Kare

PAN card (permanent account number) ki importance kya hai, ye aap acchi tarah se janate honge. Aaj ki date me pan card hona jaruri ban gaya hai, Government (banking/financial/etc) se related kisi bhi kaam me pan card ki copy submit karne ki jarurat hoti hai. Isliye aaj hum janenge ki PAN card kya hai, aur Pan card ke liye online apply kaise karte hai.

▼▼PAN Card Kya Hai

★★PAN card bharat sarkar ke income tax department dwara jaari kiya gaya permanent account number (PAN) hota hai. Iss card me ITD dwara 10 digits ka alpha aur numeric account number taxpayer ko issue kiya jata hai jo ki puri tarah se unique hota hai. Applicant ko pan card banane ke liye form 49A bharkar submit karna hota hai, aur Iske liye 107 rupees ke lagbhag fees submit karni hoti hai. PAN card ke liye baccho se lekar senior citizen tak koi bhi apply kar sakta hai, isme age limit ki koi boundation nahi hai.

▼▼PAN Card Ke Liye Kya Kya Documents Chahiye

★★Photo of applicantPassportVoter ID CardRashan CardDriving License10th, Ya 12th certificateAadhaar CardElectricitiy/Water billTelephone billArms license

★★PAN Card Kya Hai Aur Kyu Jaruri Hai

★★Aaj PAN card ki importance bahut jyada badh gayi hai, kyuki bahut se financial transations aur sarkari kaam ke liye hume iski jarurat padti hai, jinme kuch examples niche diye gaye hai.

★★Direct tax paymentIncome tax department se kisi bhi taraha ke communication ke liyeProperty sale aur purchase ke liyeIncome tax return (ITR) file karne ke liyeVehicles four wheeler/two wheeler ko sale & purchaseHotel aur restaurants me 25 thousands se jyada bill payment ke liye50 thousand aur isse jyada RBI bond ke liye50 thousand or isse jyada fix dipositsMutual fund ki purchasing ke liyeForeign currency purchasingetc

▼▼PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Online Apply Kaise Kare

▼Step 1

☞Sabse pehle uppar aapel link ya last ma aapel link par click kari website me jaye, aur Online PAN Application Click Here link par click kare.

▼Step 2

☞Ab ek form open hoga, isse bhare.

☞Application type me New PAN – Indian Citizen (Form 49A) select kare.Category select kare.Apna title select kare.Apna pura name bhare.Apni date of birth select kare.Agar email id hai to yaha bhare.Apna 10 digit ka mobile number enter kare.Captcha code enter kare.Submit button par click kare.

▼Step 3

☞Next window me request submit ka message aur ek token number aayega.

☞Kisi vajah se abhi register nahi ho to, iss token number se baad me bhi kar sakte hai.Continue with PAN Application Form button par click kare.

▼Step 4

☞Next window me guidelines tab open hoga, isme niche diye steps follow kare.

☞Apna aadhar number enter kare.Gender select kare.Agar aapka koi alternate name nahi hai to NO par tick kare.Fathers name enter kare.Mothers name enter kare, ye otional hai isse skip bhi kar sakte hai.Next button par click kare.

▼Step 5

☞Ab ek personal pan card details form open hoga, isse niche diye steps ke according bhare.

☞Apni source of income option par tick kare.Communication ke liye office aur residential me ek option choose kare.Apna ghar ka address bhare.Apne office ka name aur address enter kare.Country code select kare.Apna mobile number enter kare.Agar email id hai to yaha bhare, ya phir skip kar de.Representative assessee me No par tick kare.Next button par click kare.

▼Step 6

☞Ab next page me contact & other details bhare.

☞Indian citizens par tick kare.State name choose kare.Apni city ka name select kare.Apna area code select kare.Next button par click kare.

▼Step 7

☞Agle page me apne document ki detail enter karna hai. Yaha par aapko 3 option milte hai apni aaplication submit karne ke liye.

☞Sabhi documents ke sath application post submit karnaDocuments ko scan karke post karnaAadhaar card ko online verification karke submit karna

☞Upar diye gaye tino options me se aadhar card option best hai isliye (identity proof, address proof aur date of birth proof) tino 
dropdown me aadhaar card select kare. Agar aadhar card nahi hai to voter id card set kar sakte hai.Apna name enter kare.Place me apne city/state ka name likhe.date of birth select kare.Submit button par click kare.

▼Step 8

☞Submit button par click karte hi, aapki information submit ho jayegi, Ek baar pura form check kare aur proceed button par click kare.

▼Step 9

☞Ab next window me online payment method choose karna hai.

☞Online payment through bill desk par tick kare.Terms & condition par tick kare.Proceed to payment ke button par click kare.

▼Step 10

☞Ab jo next page open hoga isme pay confirm button par click kare.

▼Step 11

☞Pay confirm button par click karte hi, next window me payment option open hoga.

☞Koi bhi ek payment option choose kare.Apne card detail bhare.Make payment button par click kare.

☞Iske baad Rs. 107 ki payment karni hai, payment successful hone ke baad aapko ek acknowledgement receipt milegi, iska printout nikal kar apne paas rakh lijiye. Next step me acknowledgement printout ki slip ko apne nearest PAN card center me submit kar dijiye.

☞PAN card center me slip ko submit karne ke baad aap PAN card status ke iss link par click karke, aur apna 15 digit ka acknowledgment number dalkar apne pan card status ko online track kar sakte hai.

☞Agar aapne pan card form aur document sahi se submit kiya hai to aapki pan card application form verification ke ek mahine ke ander aapka pan card aapko mil jayega.
Click here to apply online